World Bank’s report says……. IMF findings goes……UNO wants to eradicate poverty, hunger……WHO wants all to be fit……..

 

lekin koi meri bhi toh suno…….ki main dukhi / bimaar / garib  hu yaa nahi……..

 

mere paas caar nahi……. chahiye kisko?….mere paas bail-gaadi hai…2 taange hai….sab badiya hai….

mere paas oberoy mein khaana khaane ke paise nahi…..khaana kisko hai?….mere liye makke di rioti sarso ka saag hi badiya hai

mere paas bungalow nahi……… chahiye kisko? ….mere gobar mein lipe ghar mein hi neend aati hai….kyunki mehnati hu…kheti karta hu subah se shaam……ms excel pe chedkhaani karke hera pheri nahi karta

WHO ke vaccination lagwa nahi sakta……. lagwaane kisko hai?…… daadi ke nhukse hai……

TV nahi aata mere yaha…… chahiye kisko? mere gao mein nukkad natak hote hi hai…..

borewell ki suvidha nahi……..dharti maa ki chhaati faad ke paani kyo nikaalu…..nadiya behti toh hai…..

bijli nahi aati mere gaao mein……kise chahiye……? jiske paas surya ki roshni…aur chandrama ki shitalta bhi hai

lpg ki subsidy kya lpg free mein bhi nahi chahiye…..gau mata ki kripa se kande hai, gobar gas hai…..

urea, pesticide nahi lene ke paise nahi……subsidy bhi nahi chahiye….gobar hai gau mutra hai….kheto mein daalunga….aur unnat fasal hogi….